musafiron ka yahan se guzar nahin hai kya tumhaare shahr mein koi shajar nahin hai kya kisi bhi waqt nigahen ye pher sakta hai tumhein zamane ki kuchh bhi khabar nahin hai kya jo tira-bakhti ka katib mila to puchhungi mere nasib mein koi sahar nahin hai kya nikalte ho bahu ko jo ghar se nange sar tumhaare zehn mein beti ka ghar nahin hai kya khurach ke dekhungi hathon ki sab lakiron ko wafa nibhane ka un mein hunar nahin hai kya tum aaine se mukhatab ho aaj-kal 'bilqis' tumhaare ghar mein koi bhi bashar nahin hai kya