musafiron mein abhi talkhiyan purani hain safar naya hai magar kashtiyan purani hain ye kah ke us ne shajar ko tane se kat diya ki is darakht mein kuchh tahniyan purani hain hum is liye bhi nae ham-safar talash karen hamare hath mein baisakhiyan purani hain ajib soch hai is shahr ke makinon ki makan nae hain magar khidkiyan purani hain palat ke ganw mein main is liye nahin aaya mere badan pe abhi dhajjiyan purani hain safar-pasand tabiat ko khauf-e-sahra kya 'saba' hawa ki wahi sitiyan purani hain