musalsal ek mashaqqat be-sabab hai mohabbat bhi bahut mehnat-talab hai tumhaara gham hai rishta-dar mera tumhaari yaad hi mera nasab hai tum aa jate to achchha tha magar ab mere dil mein yahi ek aas kab hai yunhi aate nahin ahwal takne wo aae hain to phir koi sabab hai mere dalan mein ganjina-e-yaad murawwat aashti uftad sab hai main raushan hun tere partaw ke bais mere chehre pe teri tab-o-tab hai qayamat ki ghadi guzri hai aur tu abhi maujud-o-zinda hai ajab hai