mushaire nazar aate hain manDiyon ki tarah

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
musha'ire nazar aate hain mandiyon ki tarah
bulae jate hain hum jin mein randiyon ki tarah
ye ehtimam to sara hai mal-o-shohrat ka
lagae jate hain ash'ar jhandiyon ki tarah


phir ab ke dhoke se mara gaya pitama-e-'ishq
dikha ke husn badan ka shikhandiyon ki tarah
libas-e-jism to hai mustaqil libas-e-'adam
wujud ko to pahante hain bandiyon ki tarah


hawas ke mare hue log marte hain hamein
mohabbaton ke taraazu ki dandiyon ki tarah
tumhein lagaenge ek zarb-e-inkisar ki bas
kabhi jo samne aae ghamandiyon ki tarah


10311 viewsghazalEnglish