mushkil ko usne sab ki aasan kar diya hai

By aadarsh-dubeyFebruary 25, 2024
mushkil ko us ne sab ki aasan kar diya hai
maujudgi ka apni e'lan kar diya hai
baithe hue hain patthar shishon ka jism pahne
mahfil ne teri sab ko hairan kar diya hai


itni jagah kahan thi rakh paen sari duniya
kuchh is liye bhi dil ko viran kar diya hai
hairan hain hawaen mausam bhi hai pareshan
jhonke ko us ne kaise tufan kar diya hai


main chah ke bhi us ko shayad na bhul pata
ai waqt tu ne mujh par ehsan kar diya hai
28408 viewsghazalEnglish