muskurahaT ke hasin phul khilae rakkhen
By uzma-iqbalMay 28, 2021
muskurahat ke hasin phul khilae rakkhen
apna virana-e-dil yun hi basae rakkhen
surkh-ru ho ke na duniya mein koi ji paya
phir bhi ye shauq ki surat ko sajae rakkhen
aag lag jae na duniya mein sharar se us ki
shar ke bahke hue tufan ko dabae rakkhen
khud faramoshi ne ehsas dilaya aksar
dil ke zakhmon ko hawa de ke sukhae rakkhen
bhul jae na kahin shakl ye dil walon ki
dida-e-bina ko aaina banae rakkhen
aaj wo aae hain apni hi gharaz se 'uzma'
ghar ka dastur hai mehman se nibhae rakkhen

52639 viewsghazal • English