muskurane se muddaa kya hai kah rahe hain tumhein hua kya hai pairahan adl ka pahan aai kaun mazlum hai jafa kya hai shikwe ke nam se hi barham hain ye nahin puchhte gila kya hai dal di jis ke hausle ne sipar wo tunak-arzu jiya kya hai khidmat-e-bandagan-e-haq ke siwa is kharabe mein kimiya kya hai sadgi mein hazar purkari bankpan mein chhupa hua kya hai izzat-e-nafs rakh sako mahfuz aur is ke siwa dua kya hai saf do-pat aasman-o-zamin dana ghafil hai aasiya kya hai