mutmain bhi kis qadar the apni qurbani se hum
By ahmed-rais-nizamiMay 26, 2024
mutmain bhi kis qadar the apni qurbani se hum
rad kiye jaane lage ab kitni aasani se hum
aansuon ki aag ne suraj bana dala hamein
bujh nahin sakte samundar ab tere pani se hum
itni 'adat pad chuki mushkil-pasandi ki hamein
khud se bhi ab mil nahin pate hain aasani se hum
zindagi ko dekhne ki aarzu mein yun hua
aaine ko dekhte rahte hain hairani se hum
aaj hum utre hue dariya se darte hain 'rais'
khelte the kal talak maujon ki tughyani se hum

20755 viewsghazal • English