mutthi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki tarikh yahi hai har aangan mein khwab hain lekin chand gharon mein tabiren hain jab bhi koi takht saja hai mera tera khun baha hai darbaron ki shan-o-shaukat maidanon ki shamshiren hain har jangal ki ek kahani wo hi bhent wahi qurbani gungi bahri sari bheden charwahon ki jagiren hain