myan kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha
By abdul-rahman-ehsan-dehlviOctober 22, 2020
myan kya ho gar abru-e-khamdar ko dekha
kyun meri taraf dekh ke talwar ko dekha
aankhen meri phuten teri aaankhon ke baghair aah
gar main ne kabhi nargis-e-bimar ko dekha
dekhe na mere ashk-e-musalsal kabhi tum ne
apni hi sada motiyon ke haar ko dekha
itwar ko aana tera malum ki ek umr
be-pir tere hum ne hi atwar ko dekha
dekha na kabhu kucha-e-dildar ko rangin
bas hum ne bhi is dida-e-khun-bar ko dekha
us mein bhi dar-andazon ne sau rakhne nikale
'ehsan' ne jo us rakhna-e-diwar ko dekha

14449 viewsghazal • English