na aaenge laut kar wo phir bhi main umr bhar intizar kar lun idhar to aa ai gham-e-mohabbat tujhe hi ji bhar ke pyar kar lun na jaane kab tak dhale shab-e-gham na jaane subh-e-umid kab ho qadam qadam par bichha lun tare nafas nafas shoala-bar kar lun kabhi ayaadat hui na us se kabhi kisi se na haal puchha mariz-e-gham par wo mehrban hai ye kaise main eatibar kar lun abhi salamat hai azm-e-mohkam abhi hai baqi lahu ragon mein ulat ke rakh dun nizam-e-gulshan khizan ba-rang-e-bahaar kar lun zara thahar ai junun-e-ulfat tu le chala hai kahan abhi se mata-e-dil jab luta chuka hun to jaan bhi un par nisar kar lun yahin bichhad ke main ro pada tha yahin hai bhiga zamin ka aanchal yahin phir us se milan bhi hoga yahin pe main intizar kar lun nahin hai baqi agar patange to rah ke tanha udas hogi lahad se uth kar 'asir' main hi tawaf-e-shama-e-mazar kar lun