na-ahl se bhule se danai na li jae

By maqsood-nashtariJuly 8, 2021
na-ahl se bhule se danai na li jae
dariya se samundar ki gahrai na li jae
har pal ho sana-khwani us rabb-e-haqiqat ki
is aalam-e-irfan se tanhai na li jae


jis bazm mein milta ho insaf-e-jahangiri
us bazm se phir kaise achchhai na li jae
jo gulshan-e-hasti ko shadab na kar pae
purwai ho wo phir bhi purwai na li jae


tazin-e-takhayyul to hai lazmi fankaro
auron se kisi surat goyai na li jae
jo khusraw-e-hasti hain aksar yahi kahte hain
sadqe mein kisi se bhi darai na li jae


aain-e-zaban-bandi kya is liye nafiz hai
bedar na ho paen angdai na li jae
han sabr-o-qanaat ka 'maqsud' ye matlab hai
qarze ki koi shai bhi ai bhai na li jae


61247 viewsghazalEnglish