na bachche jaante hain aur na maen jaanti hain
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
na bachche jaante hain aur na maen jaanti hain
ki bas ghar ke charaghon ko hawaen jaanti hain
bahut se murda jismon mein bhi hoti hai bahut jaan
ise chintaen jaanen ya chitaen jaanti hain
libason ke zaban hoti to un se puchhte hum
badan ka husn sirf us ki qabaen jaanti hain
jo hai ardhangini khulte kahan pure hum us par
hamein purnangini bas fahishaen jaanti hain
hamari but-parasti se khafa kitni hai masjid
ye but-khane ki baghi aasthaen jaanti hain
yazidi ya husaini kis taraf ki hain ye ruhen
badan mein hone wali karbalaen jaanti hain
tera dil yun achanak bujh gaya kyon 'farhat-ehsas'
tujhe to shahr ki sab dil-rubaen jaanti hain

90876 viewsghazal • English