na barg hun main gul ka na lale ka shajar hun main lakht-e-dil-e-rish hun aur dagh-e-jigar hun hun dair mein na kabe mein na dil hi mein apne kya jaanon tajassus mein teri aah kidhar hun paida hue aur jate rahe saikdon mujh se aatish-kada-e-dahr mein ek main bhi sharar hun na zist ka haz hai na mujhe maut ka aaram hun naza mein jaise ki idhar hun na udhar hun wan dhyan kabhi tujh ko guzarta nahin mera main hun ki teri yaad mein yan aath pahar hun na dud hun mujmir ka na main shama ka shoala main nala-e-shab-gir hun aur aah-e-sahar hun khali nahin mujh se haram-o-dair-o-dil-o-chashm main mazhar-e-haq hun ki jidhar dekho tidhar hun pata hi nahin rah kisi dil mein ilahi main kis dil-e-nakaam ki aahon ka asar hun na shisha-e-mai hun na 'hasan' saghar-e-labrez main ek dil-e-pur-dard hun aur dida-e-tar hun