na be-ruKHi kabhi barti na iltifat kiya
By anwar-shuoorJanuary 19, 2024
na be-rukhi kabhi barti na iltifat kiya
suluk us ne masawi hamare sath kiya
sada-bahaar raha bagh garche phulon ne
bahut kiya to ghadi do-ghadi sabaat kiya
tere baghair ta'ajjub hai kis tarah main ne
sahar ko sham kiya aur din ko raat kiya
bas ek tujhe na kisi taur pa sake warna
khuda gawah muhaalon ko mumkinat kiya
tere tapak ka haq aur kya ada karte
bayan aarzuon ko bhi waqi'at kiya
hayat kam thi magar raegan na jaane di
jihad marg-e-musalsal se ta-hayat kiya
kal us ne bazm mein dekha mujhe zarur magar
nazar chura ke lihaz-e-ta'alluqat kiya
'shu’ur' aah na ash'ar mein kiya mahfuz
khazana tum ne jo sarf-e-mukalamat kiya
suluk us ne masawi hamare sath kiya
sada-bahaar raha bagh garche phulon ne
bahut kiya to ghadi do-ghadi sabaat kiya
tere baghair ta'ajjub hai kis tarah main ne
sahar ko sham kiya aur din ko raat kiya
bas ek tujhe na kisi taur pa sake warna
khuda gawah muhaalon ko mumkinat kiya
tere tapak ka haq aur kya ada karte
bayan aarzuon ko bhi waqi'at kiya
hayat kam thi magar raegan na jaane di
jihad marg-e-musalsal se ta-hayat kiya
kal us ne bazm mein dekha mujhe zarur magar
nazar chura ke lihaz-e-ta'alluqat kiya
'shu’ur' aah na ash'ar mein kiya mahfuz
khazana tum ne jo sarf-e-mukalamat kiya
48793 viewsghazal • English