na-bina gungi bahri wazarat pe aakh-thu sau bar aaj-kal ki siyasat pe aakh-thu bhuke hain ahl-e-ilm gadhe kha rahe hain khir thu thu tere nizam-e-hukumat pe aakh-thu ahl-e-sitam ki wah se hoti hai jo nasib shohrat pe aisi aakh-thu rahat pe aakh-thu tujh mein nahin tamiz halal-o-haram ki lanat teri kamai pe daulat pe aakh-thu rakhti hai jo nigah hamesha mafad par aisi wafa pe aisi mohabbat pe aakh-thu jo dagh-dar kar de ana ke libas ko aise surur-o-kaif pe ishrat pe aakh-thu dastar ka hai pas jinhen kar rahe hain wo khairaat mein mili hui izzat pe aakh-thu