na bistar na bartan waghaira waghaira na chhat hai na aangan waghaira waghaira mere ghar ke bachchon ki tadad hi kya ye do chaar darjan waghaira waghaira har ustad shair ke ghar mein milenge ye harde ye churan waghaira waghaira likhega bhi kya mubtadi koi shair ye barq-o-nasheman waghaira waghaira qawafi nasheman se puchhe to bole nasheman washeman waghaira waghaira kabhi mujh pe barsati hai ghar ki malika ye chimta ye belan waghaira waghaira hain munne ki amma ki pakki saheli shakuran ghafuran waghaira waghaira har ek waqt na-waqt uthte hain kambakht ye guddan ye chuttan waghaira waghaira tere 'be-takalluf' ko sab jaante hain adosan padosan waghaira waghaira