na bulwaya na aae roz wada kar ke din kaTe

na bulwaya na aae roz wada kar ke din kate
bade wo ho ki tum ne achchha achchha kar ke din kate

akele kya tumhin ne sakhtiyan jhelin judai ki
nahin hum ne bhi patthar ka kaleja kar ke din kate

bata mujh ko tariqa ai shab-e-gham sal katne ka
koi bara mahine tis din kya kar ke din kate

jise apna samajhte the wahi dil ho gaya un ka
koi duniya mein ab kis ka bharosa kar ke din kate

qaza bhi aa gai lekin na aana tha na aae wo
ye main ne umr-bhar kis ki tamanna kar ke din kate

tumhaara kya khule bandon rahe chahe jise dekha
kamal us ne kiya 'muztar' ki parda kar ke din kate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close