na chhed un ka fasana ai dil-e-nashad rahne de main barbaad-e-tamanna hun mujhe barbaad rahne de nadamat ho unhen shayad kabhi apni jafaon par abhi shikwa-taraazi ai lab-e-fariyaad rahne de mita de safha-e-dil se mere sab kuchh gham-e-hasti magar ta-zindagi qaem kisi ki yaad rahne de ajab lazzat khalish mein is ki hai ai chaaragar pinhan dil-e-iza-talab mein nawak-e-bedad rahne de agar un ki talab hai pukhta-kar-e-arzu ho ja hawas ki kham-kari ai dil-e-nashad rahne de mubarak ho tujhe ai bewafa aaraish-e-gesu jo barbaad-e-tamanna hai use barbaad rahne de gar ambar-e-karam hone ki taqat hi nahin us mein 'wali' ko aashna-e-lazzat-e-bedad rahne de