na dhup dhup rahe aur na saya saya to junun-e-shauq agar phir wahin pe laya to qadam badha to lun aabaadiyon ki samt magar mujhe wo dhundhta tanhaiyon mein aaya to suluk khud se harifana kaun chahega agarche tu ne mujhe zindagi nibhaya to main jis ki ot mein mausam ki mar sahta hun kahin khandar bhi wo barish ne ab ke dhaya to magar gai na mahak mujh se mere mazi ki nadi ki dhaar mein sau bar main nahaya to sharif log the aadi the band kamron ke laraz uthe kisi ne qahqaha lagaya to hai rasm-o-rah ki surat abhi ghanimat hai nadi ne dekh mujhe hath phir hilaya to