na fasle ko na raKHt-e-safar ko dekhte hain

By irfan-sattarOctober 31, 2020
na fasle ko na rakht-e-safar ko dekhte hain
ajib ranj se diwar-o-dar ko dekhte hain
na jaane kis ke bichhadne ka khauf hai un ko
jo roz ghar se nikal kar shajar ko dekhte hain


ye roz-o-shab hain ibarat usi tawazun se
kabhi hunar ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
tu is qadar bhi tawajjoh pe khush-guman na ho
tujhe nahin teri tab-e-nazar ko dekhte hain


firaq hum ko mayassar bhi hai pasand bhi hai
pe kya karen ki teri chashm-e-tar ko dekhte hain
hum ahl-e-hirs-o-hawas tujh se be-niyaz kahan
dua ke baad dua ke asar ko dekhte hain


ye be-sabab nahin sauda khala-nawardi ka
musafiran-e-adam rahguzar ko dekhte hain
wo jis taraf ho nazar us taraf nahin uthti
wo ja chuke to musalsal udhar ko dekhte hain


hamein bhi apna muqallid shumar kar 'ghaalib'
ki hum bhi rashk se tere hunar ko dekhte hain
32872 viewsghazalEnglish