na gham hai shadmani mein na gham mein shadmani hai

By nazeer-mohammad-arzu-jaipuriMay 8, 2022
na gham hai shadmani mein na gham mein shadmani hai
ye mera mukhtasar qissa hai ye meri kahani hai
tumhaari yaad ko kaise main apne se juda kar dun
ye mere khanaman-barbaad dil ki ek nishani hai


mujhe takid hai naqsh-e-qadam par sajde karne ki
meri bigdi hui qismat unhen shayad banani hai
bas ek taswir-e-natiq hun tilism-e-etibari mein
na main hun zindagani ka na meri zindagani hai


wafadari ka matlab bhi samajh loge zara thahro
abhi nam-e-khuda kamsin ho aaghaz-e-jawani hai
adu ka nam sunte hi ye tum kyon sahme jate ho
mujhe koi shikayat hai na koi bad-gumani hai


na kar arz-e-tamanna 'arzu' kya tu nahin waqif
kabhi us jaur-parwar ne kisi ki baat mani hai
74921 viewsghazalEnglish