na guman maut ka hai na khayal zindagi ka so ye haal in dinon hai mere dil ki be-kasi ka main shikasta baam o dar mein jise ja ke dhundta tha koi yaad thi kisi ki koi nam tha kisi ka main hawaon se hirasan wo ghutan se dil-girafta main charagh tirgi ka wo gulab raushni ka abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon kahin rog ban na jae yahi sath do ghadi ka koi shahr aa raha hai to ye khauf aa raha hai koi jaane kab utar le ki bharosa kya kisi ka koi mukhtalif nahin hai ye dhuan ye raegani ki jo haal shahr ka hai wahi apni shairi ka