na hamdam hai na koi ham-zaban hai

By ameer-chand-baharNovember 8, 2021
na hamdam hai na koi ham-zaban hai
dil-e-nashad phir bhi naghma-khwan hai
meri qismat mein hi di hai khuda ne
musibat jo bhi zer-e-asman hai


chaman ke tairo ab khair mango
bahut barham mizaj-e-baghban hai
hua rukhsat shabab ai ham-safiro
tabiat mein wo shokhi ab kahan hai


mujhe bakhshi hai jis ne gham ki daulat
use kyunkar kahun na-mehrban hai
ghadi bhar hi ki lazzat hai hawas mein
mohabbat ek kaif-e-jawedan hai


dil-e-nadan ko bahlati rahi jo
mere khwabon ki wo duniya kahan hai
mitaega koi urdu ko kyunkar
ye 'iqbaal' aur 'ghaalib' ki zaban hai


'bahaar' ahl-e-zamana ko khushamad
hamari tab-e-nazuk par giran hai
76160 viewsghazalEnglish