na haram ki mujhko hai justuju na to rahguzar ki talash hai

na haram ki mujh ko hai justuju na to rahguzar ki talash hai
jahan sar jhuka ke mile sukun usi sang-e-dar ki talash hai

mujhe bhejna hai payam-e-dil magar ek shart bhi hai meri
jo ye raaz raaz hi rakh sake usi nama-bar ki talash hai

jo tu ban sake mera aasra to ye hoga mujh pe karam tera
mujhe shah-rah-e-hayat mein kisi ham-safar ki talash hai

mile aisa baada-e-sarkhushi jo na khatm ho kabhi be-khudi
jo sanwar de meri zindagi usi ek nazar ki talash hai

yahi zindagi ki ada bhi hai meri kaenat-e-wafa bhi hai
tere gham pe naz hai is liye ki ye umr bhar ki talash hai

na dawa dua se gharaz mujhe na to jam-o-mai ki talab mujhe
jo ilaj-e-dard-e-jigar kare usi chaaragar ki talash hai

koi kah de 'akhtar'-e-na-tawan ki qafas mein hai mera aashiyan
jo chamak rahi hain ye bijliyan unhen mere ghar ki talash hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close