na hua par na hua wo but KHud sar apna

By abdul-hadi-wafaApril 23, 2024
na hua par na hua wo but khud sar apna
tujh se insaf hai ai dawar-e-mahshar apna
be-qarari ne lagaya hai thikane mujh ko
pahlu-e-mehr-e-qayamat mein hai bistar apna


kya khule phirte ho tum qatil-e-alam ho kar
kyon dikhate ho tamasha sar-e-mahshar apna
ham-nashin mahw-e-tasawwur hun uthaun kyon kar
de gaya hai kisi zanu ke tale sar apna


mil gaya ek na milne se tere kunj-e-lahad
ban gaya ek bigadne se tere ghar apna
mujh se kya puchhte ho donon jahan phunk bhi do
jalne wale bhi hain apne rukh-e-anwar apna


dil mein kya sochte ho tum jise chaho dekho
aankh apni hai nazar apni hai manzar apna
is ki tarkib kharabi se hai allah allah
wo bigadte hain to banta hai muqaddar apna


hae wo rang-e-mohabbat ki tabassum ban kar
kisi aaluda lab-e-yar mein tha ghar apna
kuchh khabar hai tumhein bargashtagi-e-mizhgan ki
wo nazakat se sanbhalta nahin nashtar apna


chahiye aaina-e-dil pe fana ki saiqal
mitte hi mitte chamak jaega jauhar apna
tera bakhti ne wafa khub chhupa rakha tha
khul gaya jalsa-e-ahbab pe jauhar apna


12308 viewsghazalEnglish