na hum dua se ab na wafa se talab karen

By meer-hasanNovember 6, 2020
na hum dua se ab na wafa se talab karen
ishq-e-butan mein sabr khuda se talab karen
dil khak ho gaya hai teri rahguzar mein
gar ja saken wahan to saba se talab karen


aakhir khushi to ishq se hasil na kuchh hui
hum ab gham-o-alam hi bala se talab karen
ghamze ne le ke dil ko ada ke kiya supurd
ghamze se dil ko len ki ada se talab karen


daulat jo faqr ki hai so hai apne dil ke pas
wo chiz ye nahin ki gada se talab karen
darwaza go khula hai ijabat ka par 'hasan'
hum kis kis aarzu ko khuda se talab karen


44418 viewsghazalEnglish