na hum ko yaad karo aur na yaad aao hamein ajib hukm hai kahte hain bhul jao hamein tumhaare chehre to kuchh raushni mein aa jao jo ho sake to zara der tak jalao hamein hamein aziz ho kitne ye jaanne ke liye hamari jaan bhi hazir hai aazmao hamein khulenge kitne hi asrar-e-lafz lafz magar kabhi to tum bhi akele mein gungunao hamein zaruraton ke sabab hum bhi bik gae 'mahwar' nazar se apni gire hain zara uthao hamein