na hum rahe na wo khwabon ki zindagi hi rahi guman guman si mahak khud ko dhundhti hi rahi ajab tarah rukh-e-aindagi ka rang uda dayar-e-zat mein az-khud guzashtagi hi rahi harim-e-shauq ka aalam bataen kya tum ko harim-e-shauq mein bas shauq ki kami hi rahi pas-e-nigah-e-taghaful thi ek nigah ki thi jo dil ke chehara-e-hasrat ki tazgi hi rahi ajib aaina-e-partaw-e-tamanna tha thi us mein ek udasi ki jo saji hi rahi badal gaya sabhi kuchh us dayar-e-budash mein gali thi jo teri jaan wo teri gali hi rahi tamam dil ke mohalle ujad chuke the magar bahut dinon to hansi hi rahi khushi hi rahi wo dastan tumhein ab bhi yaad hai ki nahin jo khun thukne walon ki be-hisi hi rahi sunaun main kise afsana-e-khyal-e-malal teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi