na jaane kyon guman ye ho raha hai

By sapna-jainFebruary 29, 2024
na jaane kyon guman ye ho raha hai
bichhad kar mujh se wo bhi ro raha hai
main jitna chahti hun dur jaana
wo utna pas mere ho raha hai


jo deta tha kabhi phulon ke tohfe
wahi ab rah mein kante bo raha hai
mere jiwan mein tum aae ho jab se
mera har khwab pura ho raha hai


koi duba hua hai qahqahon mein
koi parwat dukhon ke dho raha hai
15073 viewsghazalEnglish