na jaane sher mein kis dard ka hawala tha

By saleem-ahmedNovember 15, 2020
na jaane sher mein kis dard ka hawala tha
ki jo bhi lafz tha wo dil dukhane wala tha
ufuq pe dekhna tha main qatar qazon ki
mera rafiq kahin dur jaane wala tha


mera khayal tha ya khaulta hua pani
mere khayal ne barson mujhe ubaala tha
abhi nahin hai mujhe sard o garm ki pahchan
ye mere hathon mein angar tha ki zhaala tha


main aaj tak koi waisi ghazal na likh paya
wo saneha to bahut dil dukhane wala tha
maani-e-shab-e-tarik khul rahe the 'salim'
jahan charagh nahin tha wahan ujala tha


89371 viewsghazalEnglish