na jaane uske kitne hi sahaare sath rahte hain
By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
na jaane us ke kitne hi sahaare sath rahte hain
wo pata manzilen jis ke sitare sath rahte hain
chale jao kahin lekin akele tum nahin hote
yaqin mano wahan hum bhi tumhaare sath rahte hain
kahan chuha kahan billi kahan kutta kahan panchhi
musibat jab padi ho to ye sare sath rahte hain
falak tum ho zamin hum hain nahin mumkin kabhi milna
nadi ke bhi kahan donon kinare sath rahte hain
manazir wo bhi dikhte hain jinhen ho dekhna mushkil
kahan khush-rang har dam hi nazare sath rahte hain
na samjhao watan ki tum taraqqi ka inhen matlab
ye basti hai jahan qismat ke mare sath rahte hain
akele hum rahen phir bhi 'nazar' tanha nahin hote
tumhaare khwabon ke sae hamare sath rahte hain

58535 viewsghazal • English