na-jaez hai jo bhi shikayat hai meri
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
na-jaez hai jo bhi shikayat hai meri
hona hi gar asl musibat hai meri
tujh se hi har zakhm mera mansub nahin
duniya bhi nakaam mohabbat hai meri
main bhi ub chuka hun shor-sharabe se
sahra ko bhi jaan ghanimat hai meri
aise marta dekh rahe hain log mujhe
jaise ye bhi koi shararat hai meri
aakhir mujh se khatra kya hai duniya ko
kyon itni har waqt hifazat hai meri
ye jo meri chup hai ye ba-ma’ni chup
yahi shikayat yahi baghawat hai meri
hona hi gar asl musibat hai meri
tujh se hi har zakhm mera mansub nahin
duniya bhi nakaam mohabbat hai meri
main bhi ub chuka hun shor-sharabe se
sahra ko bhi jaan ghanimat hai meri
aise marta dekh rahe hain log mujhe
jaise ye bhi koi shararat hai meri
aakhir mujh se khatra kya hai duniya ko
kyon itni har waqt hifazat hai meri
ye jo meri chup hai ye ba-ma’ni chup
yahi shikayat yahi baghawat hai meri
83556 viewsghazal • English