na jao ghar abhi to raat hai baadal bhi kale hain

By qamar-jalalviFebruary 28, 2024
na jao ghar abhi to raat hai baadal bhi kale hain
azan samjhe ho tum jis ko kisi bekas ke nale hain
tum apne zulm ka mahshar mein kar lo in se andaza
ye jitne hain khuda ke samne fariyaad wale hain


'qamar' tasbih padhte ja rahe hain su-e-mai-khana
koi dekhe to ye samjhe bade allah wale hain
65879 viewsghazalEnglish