na kaho ilaj kiya nahin

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
na kaho 'ilaj kiya nahin
raha faeda so hua nahin
mujhe sirf is ki saza mili
ki main be-gunah laga nahin


yahi shukr hai mera faisla
kisi aur din pe tala nahin
use yar kahiye to kis tarah
jo tha ghar mein aur mila nahin


jo suna wo sunne ka dhong tha
jo kaha wo yaad raha nahin
mere nam lakh shikar hon
pa ye jal main ne buna nahin


bila-wajh aafaten mol lin
kahin daur jaane ka tha nahin
62150 viewsghazalEnglish