na kar shumar ki har shai gini nahin jati ye zindagi hai hisabon se ji nahin jati ye narm lahja ye rangini-e-bayan ye khulus magar ladai to aise ladi nahin jati sulagte din mein thi bahar badan mein shab ko rahi bichhad ke mujh se bas ek tirgi nahin jati naqab dal do jalte udas suraj par andhere jism mein kyun raushni nahin jati har ek rah sulagte hue manazir hain magar ye baat kisi se kahi nahin jati machalte pani mein unchai ki talash fuzul pahad par to koi bhi nadi nahin jati