na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota

By sheikh-ibrahim-zauqNovember 21, 2020
na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota
ki niche aasman ke aur paida aasman hota
kahe hai murgh-e-dil ai kash mein zagh-e-kaman hota
ki ta shakh-e-kaman par us ki mera aashiyan hota


abhi kya sard qatil ye shahid-e-tufta-jaan hota
koi dam sham-e-murda mein bhi hai baqi dhuan hota
na hoti dil mein kawish gar kisi ki nok-e-mizhgan ki
to kyun haq mein mere har mu-e-tan misl-e-sinan hota


aza-dari mein hai kis ki ye charkh-e-matami-jama
ki habib-e-chaak ki surat hai khatt-e-kahkahshan hota
bagula gar na hota wadi-e-wahshat mein ai majnun
to gumbad hum se sar-gashton ki turbat par kahan hota


jo rota khol kar dil tangna-e-dahr mein aashiq
to ju-e-kahkashan mein bhi falak par khun rawan hota
na rakhta gar na rakhta munh pe ye dana mariz-e-gham
magar tera mayassar bosa-e-khal-e-dahan hota


tere khunin jigar ki khak par hota agar sabza
to mizhgan ki tarah us se bhi paiham khun rawan hota
rukawat dil ki us kafir ke waqt-e-zabh zahir hai
ki khanjar meri gardan par hai ruk ruk kar rawan hota


na karta zabt main girya to ai 'zauq' ek ghadi bhar mein
katore ki tarah ghadiyal ke gharq aasman hota
23947 viewsghazalEnglish