na kisi hirs na hawas ke liye
By qamar-malalFebruary 28, 2024
na kisi hirs na hawas ke liye
hum yahan aae ahl-e-las ke liye
mujh pe bas ek nigah ki kafi hai
ek chingari khar-o-khas ke liye
zindagani ke khasta adde par
hum khade hain ajal ki bus ke liye
razm bazm-e-sukhan ko samjho to
tanha kafi hun aath das ke liye
doston ne tere bichhadne par
meri barbaadiyon ke chaske liye
phir bahaaron ne rasta roka
ghar se nikle the hum qafas ke liye
'ishq ka khel khelte hain log
narm jismon pe dastaras ke liye
naz kya ai 'qamar' jawani par
ye to hoti hai kuchh baras ke liye
hum yahan aae ahl-e-las ke liye
mujh pe bas ek nigah ki kafi hai
ek chingari khar-o-khas ke liye
zindagani ke khasta adde par
hum khade hain ajal ki bus ke liye
razm bazm-e-sukhan ko samjho to
tanha kafi hun aath das ke liye
doston ne tere bichhadne par
meri barbaadiyon ke chaske liye
phir bahaaron ne rasta roka
ghar se nikle the hum qafas ke liye
'ishq ka khel khelte hain log
narm jismon pe dastaras ke liye
naz kya ai 'qamar' jawani par
ye to hoti hai kuchh baras ke liye
33841 viewsghazal • English