na koi fal nikali na istiKhaara kiya

By jamal-ehsaniNovember 2, 2020
na koi fal nikali na istikhara kiya
bas ek subh yunhi khalq se kinara kiya
nikal padenge gharon se tamam sayyare
agar zamin ne halka sa ek ishaara kiya


jo dil ke taq mein tu ne charagh rakkha tha
na puchh main ne use kis tarah sitara kiya
parai aag ko ghar mein utha ke le aaya
ye kaam dil ne baghair ujrat o khasara kiya


ajab hai tu ki tujhe hijr bhi garan guzra
aur ek hum ki tera wasl bhi gawara kiya
hamesha hath raha hai 'jamal' aankhon par
kabhi khayal kabhi khwab par guzara kiya


56434 viewsghazalEnglish