na koi subh ka manzar na sham ki taswir

By babar-zahrabJanuary 2, 2024
na koi subh ka manzar na sham ki taswir
sukut khinch raha hai kalam ki taswir
rakhenge naqsh mohammad ka dil mein taki rahe
hamare pas hamare imam ki taswir


ye subh-o-sham ke manzar mein waqt ka kirdar
ye roz-o-shab hain 'ajab ehtimam ki taswir
piyenge dil se shahadat ka jam barsar-e-khak
ki hai ye maut hamare dawam ki taswir


jahan-jahan se wo guzra zamana ruk gaya tha
har ek maqam ne khinchi khiram ki taswir
wo aankh jis ko mayassar ho wo nahin rakhta
ye jam-e-jam ka tasawwur ye jam ki taswir


zamin pe bijli girai gai hai yun 'zahrab'
bana raha hai khuda inhidam ki taswir
80549 viewsghazalEnglish