na main dil ko ab har makan bechta hun koi khub-ru le to han bechta hun wo mai jis ko sab bechte hain chhupa kar main us mai ko yaro ayan bechta hun ye dil jis ko kahte hain arsh-e-ilahi so us dil ko yaro main yan bechta hun zara meri himmat to dekho azizo kahan ki hai jins aur kahan bechta hun liye hath par dal ko phirta hun yaro koi mol lewe to han bechta hun wo kahta hai ji koi beche to hum len to kahta hun lo han miyan bechta hun main ek apne yusuf ki khatir azizo ye hasti ka sab karwan bechta hun jo pura kharidar paun to yaro main ye sab zamin-o-zaman bechta hun zamin aasman arsh-o-kursi bhi kya hai koi le to main la-makan bechta hun jise mol lena ho le le khushi se main is waqt donon jahan bechta hun biki jins khali dukan rah gai hai so ab is dukan ko bhi han bechta hun mohabbat ke bazar mein ai 'nazir' ab main aajiz gharib apni jaan bechta hun