na-muradi ka kakahra likh diya dad ka akhshar sunahra likh diya shahr mein holi hui thi khun ki kis ne chehre par dasahra likh diya mutthiyon ko chup kiya banduq ne tez sanson par bhi pahra likh diya chikh dharti ka muqaddar ban gai aasman wale ko bahra likh diya