na nind hai na khwab hai na yaad hai na raat hai zamin na aasman hai zaman na kaenat hai ye jism-o-jaan ka qafila hai rasta pe kaun se na manzilon ki aas hai na rahrawon ka sath hai umid o aarzu ke rang kyun phike lag rahe hain ab kami hai aab-o-gil mein kuchh lahu mein koi baat hai hai un ke waste tamam fath-o-kaamraniyan mere liye hamesha se jo hai to sirf mat hai main lahza lahza kat ke gir raha hun andhi khai mein ye zindagi ka rasta nahin hai pul-siraat hai hai wasl apne-ap se firaq apne-ap se nahin hai koi bhi yahan bas ek meri zat hai 'mamun' azal se ta-abad nahin hai koi raushni khala mein dur dur tak bas ek azim raat hai