na pas aata hai wo aur na dur jata hai

By mumtaz-rashidSeptember 26, 2023
na pas aata hai wo aur na dur jata hai
'ajab tarah se meri tishnagi badhata hai
ye kaisi aag hai jis mein koi tapish na dhuan
ye kaisa rabt hai jo fasle badhata hai


talash hai use khoe hue ujalon ki
jo meri rah mein aksar diye jalata hai
samajh chuka hun main us ke dukhon ka har andaz
jo baat baat pe meri hansi udata hai


main padh saka na kabhi jis ke jism ki tahrir
hai us ka 'aks jo she'ron mein jhilmilata hai
chhupa saka na mah-o-sal ka ghubar use
wo ek lamha jo har lamha yaad aata hai


21565 viewsghazalEnglish