na phal na phul na saya shajar mein baqi hai

na phal na phul na saya shajar mein baqi hai
magar wo sukha hua ped ghar mein baqi hai

gire makan ko sadiyan guzar gain lekin
par ab bhi khauf sa diwar-o-dar mein baqi hai

abhi hai der yahan inqalab aane mein
bada sukut abhi shor-o-shar mein baqi hai

tum aana chaho palat kar to aa bhi sakte ho
har ek naqsh-e-qadam rahguzar mein baqi hai

yahi bahut hai ki hum mahfilon mein milte rahen
mohabbaton ka bharam to nazar mein baqi hai

na chahne mein bhi ji chahta hai milne ko
kami si koi to khair-o-khabar mein baqi hai

abhi se himmat-e-parwaz tu na chhod 'zafar'
abhi to jaan tere baal-o-par mein baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close