na puchh dost ki kitna kharab hota hai bas itna jaan zamana kharab hota hai ye ishq hai na jo ye dil ki ek kharabi hai kharabiyon ka natija kharab hota hai ajab mizaj ki duniya hai ye ki is ke liye kharab achchha to achchha kharab hota hai huzur chhodiye ye amn-o-wamn ki baaten siyasi logon ka dhanda kharab hota hai koi kisi bhi samay jhat se tod sakta hai umid sab se lagana kharab hota hai sharab paisa ana khwab ishq ya ki sukhan kisi bhi shai ka ho nashsha kharab hota hai udas mat ho miyan hai ye imtihan-e-zist is imtihan mein parcha kharab hota hai