na puchho tumko aur dushman ko dil mein kya samajhta hun

By boom-merathiApril 24, 2021
na puchho tum ko aur dushman ko dil mein kya samajhta hun
use ullu tumhein ullu ka main pattha samajhta hun
darun kyon wasl ki shab dhaul-dhappa hatha-pai se
ise to main niyaz-o-naz ka ragda samajhta hun


gaya bachpan shabab aaya budhapa aane wala hai
magar main to abhi tak aap ko bachcha samajhta hun
liye jata hai mujh ko sath kyon dushman ki mahfil mein
abe ullu ke paththe is mein kuchh dhoka samajhta hun


bulati hai mujhe ghar par jo tum ghar par nahin hote
tumhaari man ko tum se har tarah achchha samajhta hun
adu ke ghar se ulta paejama pahn kar aae
andheri raat hai kuchh dal mein kala samajhta hun


ye tum ne kya kaha kyon dil lagi ki meri amman se
aji tauba karo main to use khala samajhta hun
jo puchha mujh se musht-e-khak ko tum kya samajhte ho
to farmaya ki istinje ka main dhela samajhta hun


shab-e-wada teri laut-o-palat se nak mein dam hai
kabhi ulta samajhta hun kabhi sidha samajhta hun
kisi ne un se puchha 'bum' ko tum kya samajhte ho
to bole muskura kar ullu ka pattha samajhta hun


46498 viewsghazalEnglish