na-rasai hai ki tu hai kya hai
By khalid-sharifNovember 3, 2020
na-rasai hai ki tu hai kya hai
yaad kar ke jise ji duba hai
ai gham-e-jaan tere gham-khwaron ka
sabr ab had se siwa pahuncha hai
aaina tha ki mera paikar tha
teri baaton se abhi bikhra hai
aankh kis lafz pe bhar aai hai
kaun si baat pe dil tuta hai
mere hathon ki lakiron mein koi
zindagi ban ke chhupa baitha hai
aasman jhank raha hai 'khalid'
chand kamre mein mere utra hai
yaad kar ke jise ji duba hai
ai gham-e-jaan tere gham-khwaron ka
sabr ab had se siwa pahuncha hai
aaina tha ki mera paikar tha
teri baaton se abhi bikhra hai
aankh kis lafz pe bhar aai hai
kaun si baat pe dil tuta hai
mere hathon ki lakiron mein koi
zindagi ban ke chhupa baitha hai
aasman jhank raha hai 'khalid'
chand kamre mein mere utra hai
58315 viewsghazal • English