na-rawa kahiye na-saza kahiye

By dagh-dehlviOctober 29, 2020
na-rawa kahiye na-saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye
tujh ko bad-ahd o bewafa kahiye
aise jhute ko aur kya kahiye


dard dil ka na kahiye ya kahiye
jab wo puchhe mizaj kya kahiye
phir na rukiye jo muddaa kahiye
ek ke baad dusra kahiye


aap ab mera munh na khulwaen
ye na kahiye ki muddaa kahiye
wo mujhe qatl kar ke kahte hain
manta hi na tha ye kya kahiye


dil mein rakhne ki baat hai gham-e-ishq
is ko hargiz na barmala kahiye
tujh ko achchha kaha hai kis kis ne
kahne walon ko aur kya kahiye


wo bhi sun lenge ye kabhi na kabhi
haal-e-dil sab se ja-ba-ja kahiye
mujh ko kahiye bura na ghair ke sath
jo ho kahna juda juda kahiye


intiha ishq ki khuda jaane
dam-e-akhir ko ibtida kahiye
mere matlab se kya gharaz matlab
aap apna to muddaa kahiye


aisi kashti ka dubna achchha
ki jo dushman ko nakhuda kahiye
sabr furqat mein aa hi jata hai
par use der-ashna kahiye


aa gai aap ko masihai
marne walon ko marhaba kahiye
aap ka khair-khwah mere siwa
hai koi aur dusra kahiye


hath rakh kar wo apne kanon par
mujh se kahte hain majra kahiye
hosh jate rahe raqibon ke
'dagh' ko aur ba-wafa kahiye


73333 viewsghazalEnglish