na sabaat hai na dawam hai
By aamir-azherOctober 4, 2024
na sabaat hai na dawam hai
khum-e-zindagi hai so kham hai
hamein mausamon se umid kya
hamein roz roz ka kaam hai
tujhe raston ka pata na tha
tere hauslon ko salam hai
na ye sard ho na ye khatm ho
meri tishnagi mera jam hai
main ye puchhta hua chal diya
koi kaam hai koi kaam hai
mujhe 'amir' aap se kya gharaz
ye kalam sab ka kalam hai
khum-e-zindagi hai so kham hai
hamein mausamon se umid kya
hamein roz roz ka kaam hai
tujhe raston ka pata na tha
tere hauslon ko salam hai
na ye sard ho na ye khatm ho
meri tishnagi mera jam hai
main ye puchhta hua chal diya
koi kaam hai koi kaam hai
mujhe 'amir' aap se kya gharaz
ye kalam sab ka kalam hai
63763 viewsghazal • English